Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay
Har payambar par jo aayi wo musibat aur hay

1) Asr tak kya jaane kya ho pyas ki shiddat ka haal
Subho se ashoor ke suraj ki hiddat aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

2) Kat ke sar darul amaara par hay shah ka muntazir
Koofiyo muslim ka andaze sifarat aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

3) Kheenchni hay seenaye Akbar se barchi ki ani
Aakhri ye shahe deen betay ki khidmat aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

4) Raigzaare garm par chadar bichaatay hain Hussain
Kya karain ke laashaye Qasim ki haalat aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

5) Baabe khyber ka uthaana wo shuja-at aur thi
Teer khaakar muskurana ye shuja-at aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

6) Dushmanane Karbala phir maarka aara hay aaj
Majliso matam ki Shahid ab zururat aur hay
Karbala walon pa jo guzri qayamat aur hay

کربلا والوں پہ جو گذری وہ قیامت اور ہے
ہر پیمبر پر جو آئی وہ مصیبت اور ہے

عصر تک جو جانے کیا ہو پیاس کی شدت کا حال
صبح سے عاشور کے سورج کی حدت اور ہے
کربلا والوں

کٹ کے سر دارالاعمارہ پر ہے شہہ کا منتظر
کوفیوں مسلم کا انداز سفارت اور ہے
کربلا والوں

کھینچی ہے سینہ اکبر سے برچھی کی انی
آخری یہ شاہ دیں بیٹے کی خدمت اور ہے
کربلا والوں

ریگ زار گرم پر چادر بچھاتے ہیں حسین
کیا کریں کہ لاشہ قاسم کی حالت اور ہے
کربلا والوں

باب خیبر کا اٹھانا وہ شجاعت اور تھی
تیر کھا کر مسکرانا یہ شجاعت اور ہے
کربلا والوں

دشمنان کربلا پھر معرکہ آرائ ہے آج
مجلس و ماتم کی شاہد اب ضرورت اور ہے
کربلا والوں