Jaise jaise raat ja rahi hay
1) Aik alam ke saaye may khaime, mehwe dua khaimo may pyase (x2) Pyaso ki aawaz fiza may, shukre Khuda dohra rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
2) Door watan se kuch pardesi, seh ke aziyat tishnalabi ki (x2) Dekh rahay hain jaanibe darya, mauj qayamat dha rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
3) Aamnay samnay do lashkar hain, sabr idhar us ja khanjar hain (x2) Fauj idhar masroofe ibadat, ik tayghein chamka rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
4) Aik behan ko fikr yehi hay, raat ye kyon dhalti jati hay (x2) Iski sehar ke peechay peechay, subhe shahadat aa rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
5) Kehti hay bachon se maayain, aao tumhein ham aaj sajayain (x2) Waqt yehi qurbani ka hay, deen pe musibat aa rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
6) Wo jo shabihe payghambar hay, zad pay sina ki us ka jigar hay (x2) Maut usi ki khaatir naiza, maqtal may lehra rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
7) Jhoola jhoolnay wala bacha, lori sun kar bhi na soya (x2) Bache ko aadabe shahadat, lori khud samjha rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
8) Saatween say is ban may ik maa, baal khulay ba haale pareshan (x2) Jhaarti hay maqtal ki zameen ko, roti hay thar-ra rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay
9) Rakhdo qalam Rehan o Sarwar, dard bhara hay subha ka manzar Lehjaye Akbar se jo ubhri, sot-e azan wo aa rahi hay Jaise jaise raat ja rahi hay |