Zindaan main Sakina ko yaad aaya woh seena Jis seena peh soothi thi, haey haey (x2) Masoom Sakina 1) Kaar taars zara zalim, baba ko na royun gi May goad may madar ki, aaram say soyun gi Bay reham layeeno nay, haey haey (x2) Faryaad suni na 2) Hay moat ki khamoshi, tareekiye zidaan may Kiya jurm kiya logon, masoom si mehmaan nay Koyi aur to Masooma, haey haey (x2) Youn qaid hui na 3) Haar waqt chamaak-ta tha, Karbal main Medinay may Taveez ki manind tha, Shabbir kay seenay may Gum ho gaya woh kaisay, haey haey (x2) Zindaan main nagina 4) Phat jaye na ghairat say, Sajjad jigar tera Meray ghaar ki yeh ronaq hay, kehta tha pidaar tera Yeh souch kay Abid ko, haey haey (x2) Kuch honay lagay na
5) Rukhsar may nana ko, mehshaar may dikhaoon gi Rudad main zindaan ki, ro ro kay sunaoon gi Pabandi hay ronay pay, haey haey (x2) Kehta hay kamina 6) Aey daste ajaal ruk ja, beemar ko anay day Baba kay liye koyi, pehghaam suna-nay day Shayed meri turbaat pay, haey haey (x2) Woh aye kabhi na 7) Sardar Sakina ko zindaan may dafan kar kay Sajjad yeh kehtay thay, nah kafan mila mar kay Ta hashar rulaye ga, haey haey (x2) Teri moat Sakina
|