Kata kai apna gala tera dheen bachaun ga
May apnay khoon say rahay wafa sajaun ga
1) Howay na hongay abhi puray maa kay bhi armaan Abhi to Kubra ka utra na hoga range hina May khaima gah say Qasim ki lash laun ga
2) Hazar zulm karay nana chahay ahlay sitam Teray Hussain ko hay teri azmatoon ki qasam Kata to doonga magar sar na may jhukaun ga
3) Banain gay lashay merai samnay hi meray pisar Wafa ka naz bhi soye ga jo woh soo-e-nehar May phir bhi teray liyay ran main muskuraun ga
4) Khuda gawah hay teray deen ki baqa kay liye Bhulana mujh ko peray nana jo Khuda kay liyai To khoon teri shabih ka may bhool jaoon ga
5) Ta hashr bhool na paye ga zindagi meri Jafa kay teeron main bhi misal bandagi meri Main sath sath zamanay ko yaad aayun ga
|