Zehra tujhay darbar may haq kiyun na mila hay
Shayed ke yehi ajr-e-risalat ka sila hay
1) Mehroom rahi haq se to ummat ki satai Jhutlayi shareefon ne teri pak gawahi Is ghum ne teray dil ka sakoon cheen liya hay
2) Ehsan faramoshon ne hay tujh ko rulaya Aur baad nabi kyun saqeefay may bulaya Choda so baras se humain yeh hi gilla hay
3) Darwaza teray pehlu pe zalim ne giraya Kyun bint mohammad pay ussay reham na aaya Kis jurm may zalim ne yehi zakhm dia hay
4) Matam teri aulaad ka din raat karain gay Parhtay hain ager kalma to haq baat karain gay Jannat teri aulaad ko ronay ka sila hay
5) Farman e risalat ko jo bhoolein hain woh zalim Beshak woh namazi hain ya deen kay hain aalim Un kay liye Sardar jahanum ki saza hay
|