Aa Alamdar haey alamdar (x3) Kartay thay ro ro ke ya hazrat bayan toar gaye meri qamar bhayi jaan Aa Alamdar haey alamdar (x3) Roti hay khayme me Sakina wahan Sote ho Abbas zamin par yahaan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
1) Aray lash uthaye ga kon, Shere jawaan mar gaya Aray qabr banaye ga kon, Shere jawaan mar gaya Aray humko sambhale ga kon,Shere jawasn mar gaya Toro na gurbat me meri aas utho Utho Husain aaye hain Abbas utho Rota he mazlum basad yas utho Utho bas ab ghar me chalo bhayi jaan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
2) Aray kon khabare le meri, Shere jawan mar gaya Haey meri bekasi, Shere jawan mar gaya Chalti hay dil par churi, Shere jawan mar gaya Kya huwa sawwaye Sakina ko aa Kisne kiya mere bhara gar tabah Kya huwi abbas biradar ki chaah Ab gaye wo pyaar ki baate kaha Aa Alamdar haey alamdar (x3)
3) Aray mar gaya Akbar pisar, Shere jawan mar gaya Thaam lo meri qamar, Shere jawan mar gaya Aray lut gaya bekas ka ghar, Shere jawan mar gaya Quwate bazu mera kya ho gaya Zeenate pehlu mera kya ho gaya Aashiqe dil yu mera kya hogaya Kya huwa afsos mera qadr daan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
4) Aray jhume khayme me wa, Shere jawan mar gaya Karti hay Zainab fugaa, Shere jawan mar gaya Aray kis say karoon may bayan, Shere jawan mar gaya Hath se khoya dile gamkhwar ko Paoon kahaan apnay alamdar ko Geri huwi khanjar-e khu khar ko Jalad gale par ho mere ab rawaa Aa Alamdar haey alamdar (x3)
5) Aray ab koi chara nahi, Shere jawan mar gaya Aray zeest gawara nahi, Shere jawan mar gaya Aray koi hamara nahi, Shere jawan mar gaya Maa hai bani hasheme wala nahi Usme mere mehru ka ujala nahi Haaye mere chahane wala nahi Nazro me tarikh ha sara jahan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
6) Aray lash uthayenga kon, Shere jawaan mar gaya Aray kabre banayanga kon, Shere jawan mar gaya Aray humko sambhalenga kon, Shere jawan mar gaya Toro na gurbat me meri aas ko Utho Husain aaye ha abbas utho Rota he mazlum basat yas utho Utho basat gar me chalo bhayijaan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
7) Aray ankho ka tara mera, Shere jawan mar gaya Aray chand ka tukra mera, Shere jawan mar gaya Are gar ka ujala mera, Ruhe ali jaan-e nabi alvida Ashiko shaidai akhi alvida Laasha-e abbase ali alvida Aate hain ab ham bhi chalo bhayijaan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
Kartay thay roro ke ya hazrat bayan toar gaye meri qamar bhayi jaan Aa Alamdar haey alamdar (x3) Roti hay khayme me Sakina wahan Sote ho Abbas zamin par yahaan Aa Alamdar haey alamdar (x3)
|