Koofay ka aur Shaam ka manzar
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Kufay ka aur Shaam ka manzar
Kufay ka aur Shaam ka manzar

Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

1) Qabr pe Shabbir ki karte the Abid bhuka,
Hogayi kya kya jafa, sunye shahe karbela,
Sar pe kisi ke na thi chadar
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

2) Aik rasan me bandhe chote baro ke gale,
Barsare darbar sab is tarha laaye gaye,
Kothe se barstay thay pathar,
Dil mera phat jaata hay baba,
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

3) Kufay ke baazar me majma-e kafar me,
Ek tamasha sa tha, aale sitam gaar me,
Ayse me maa behne khule sar,
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

4) Tok se hargis na tha baba mera sar juka,
Hath kari aur beri ka koi muje gham na tha,
Arey dekha nahi jata tha manzar,
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

5) Arey bali sakina ka gham dil ye nahi bhul ta,
Sab ke the shaane bandhe uska bandha tha galaa,
Arey dard se wo roti thi mustar,
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar

6) Maktalo tarikh ki kar na sake hak ada,
Likha ani se hazi girya-e abid kiya,
Arey kahte the ye abide muztar,
Yaad jab aajata hay baba, dil mera phat jaata hay baba
Kufay ka aur Shaam ka manzar