Kiya raha khaimon may Sheh kay ek udasi reh gayi Sirf Ronay ko Mohammed ki nawasi reh gayee
1. Saj gayee Qasim kay Tukroun say udhar Karb-o-bala Maa idhar baitay ki dulhan ko sajaati reh gayee
2. Cheenta tha Shimr chadar aur Zainab baar baar Apni chadar kay muhafiz ko bulati reh gayee
3. Khoon-e-dil Abbas kaa sub beh gayaa run may magar Dil main bus ek baat Zainab ki rida ki reh gayee
4. Aay Musalmano tumhari ghayratain kiya ho gayeen Tum tamashayee thay Zainab mu chupati reh gayee
5. Qaid main Bali Sakina ko mila baba ka sar Mu pay mu rakh kar joo sooyee maa jagati reh gayee
6. Maadar-e-Asgher na baithi saye main Asgher kay baad Saayea main aayee to zinda laash baqi reh gayee
7. Har tamachay par Sakina mu pay rakh kar nanhay haath Neel rukhsaaron kay Ghazi ko dikaati reh gayee
8. Aa gayee Rehan o Sarwar Karbala say lout kar Aaj tak khushboo badan main Karbala ki reh gayee
|