Na ro maula
Na ro maula (x4) Ayyuhal mazloom Ya ayyuhal mazloom (x2)
Na ro maula (x4)
Minhal ne ek din aake kaha (x2) Ay maula mere ay zainul aba Gham ziada kahan guzre tumpar Dil thaam liya khun rone lage Khun rote huwe bas itna kaha
Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
1) Minhal tarap kar kehne laga Rone ka sabab maula he kya Miraas shahadat aap ki he Maula ne kaha la raib magar Uff tune nahin insaaf kiya Beshak miras shahadat he Ye ale nabi ki fitrat he Sar beparda maa behno ka Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
2) Minhal mein kaise zinda hun Pal pal jeeta hun marta hun In ankhon ne jo kuchh dekha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
3) Aghaaz he shame gharibaan se Khun tapka chashme giryaan se Behnon ka khula sar saamne tha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3) 4) Kaise bhulun us manzar ko Neze pe phupi ki chadar ko Sahil se jo ghazi ne dekha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
5) Namoose payambar be chaadar Aur sar pe baraste woh patthar Tar khoon mein tha sab ka chehra Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
6) Na gham tauqo zanjeer ka tha (x2) Gham phupiyon ka hamsheer ka tha Bazaar ke gham ne maar diya Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
7) Allah mere ye hadde sitam Pehro the khare darbaar mein ham Aur takht pe qatil betha tha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
8) Ek sham ka ik zindaan ka gham Masoom si nanni jaan ka gham Jo ho na saki marke bhi riha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
9) �Rehano sarwar� sham chalo Aur sham ki who galiyaan dekho Bimaar jahan kehta hi raha Ek ye bhi meri miraas thi kya Ash sham (x3) Sajjad haey Sajjad (x3)
Ayyuhal mazloom Ya ayyuhal mazloom (x2)
|