Ab aaye ho baba Zainab ne kaha baap Ke khadmon say lipat kar Ab aaye ho baba
Jab lut gaya pardes mein amma ka bhara ghar Ab aaye ho baba Zainab ne kaha baap ke khadmon say lipat kar Ab Aaye Ho Baba 1) Baba agar aana hi tha khaliq ki reza say, us waqt na aaye Jab khaak pe dam torh raha tha mera Akbar Ab aaye ho baba. 2) Jab farsh-e-zameen baam-e-falak larza fishaan thay, Us waqt kaha thay Jab baap ke chullu mein tha khoon-e-Ali Asghar Ab aaye ho baba. 3) Jab bhai ka saar kaat ta tha may dekh rahi thi, Hazrath ko sada di Sar kholay hue roti thi mai khaimein ke dar par Ab aaye ho baba. 4) Jab log bacha le gaye lashay shohda kay, Haq apna jata kay Bas ek tan-e-Shabbir tha pamal ki zad par Ab aaye ho baba. 5) Jab Shaam ke qazaaq hamein loot rahay thay, Khaimon ko jala kay Ab aagaye hotein to na chin ti meri chadar Ab aaye ho baba. 6) Kya aap nay firdous say ye dekha na hoga, Kya hashr bapa tha Jab pusht say beemar ki khaincha gaya bistar Ab aaye ho baba. 7) Shahid rukhe Haider pe bhi bikhar jaatay thay aason, Jab khol ke gesun Chillati thi Zainab mere baba meri chadar Ab aaye ho baba. |