Assalam aey kunba e rasool Assalam
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

Assalam Assalam baali Sakina (x2)
qaid main aayi qaza assalam
Assalam assalam Zainab-e-muztar (x2)
deen ko dedi rida assalam

Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

1) Bhaayi ko khanjar taley dekh kay noha kiya
khayme jaley ghar luta baad e shahe karbala (x2)
lashoon pay roti huwi sham chali berida,
sham kay rastey tujhey kahtey rahey marhaba
Assalam Assalam Zainab-e-muztar (x2) jan-o-dil-e-syeda assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

2) Taaba qayamat tere dam say rahengi wafa
pyasoon ki ek mashk pay khud ko fida karadiya (x2)
rowenngay tujh pay sada sun kay tera tazkira,
pyaas sakina alam mashk wafa alqama
Assalam assalam Ghazi alamdar (x2) kehtey he ahl-e-wafa assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

3) Dunya main dekhi naheen madar-e-akbar si maan
jis nay jawan laal kay dekhi jigar main sinaa (x2)
chand sa karyal jawan leta raha hichkiyan,
shukr hay maalik tera us kay tha wird-e-zaban
Assalam assalam madar-e-Akbar (x2) dediya karyal jawan assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

4) Mil na sakenga kaheen dehr main aisa jari
teer jisey markar roney lagey ho shaqi (x2)
nanhey mujahid tera saani naheen hay koi,
teer-e-sitam halq par aur labon par hansi
Assalam assalam nanhey mujahid (x2) Teer saqat baraa assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

5) Saye main bethi naheen madar-e-asghar kabhi
Asghar-e-besheer ko dhoop main roti rahi (x2)
deen ki khatir yeh maan kitney sitam seh gayi,
maang bhi ujri thi aur god bhi khaali hoi
Assalam assalam madar-e-Asghar (x2) kehti hay khud bekasi assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

6) Qasim-e-dilgeer ki maan yeh tera hosla
tukray jawan lal kay dekhay sar-e-karbala (x2)
khak main woh mil gaya dil main jo arman tha,
dasht main pamal jab ibn-e-hassan ho gaya
Assalam assalam madar-e-Qasim (x2) Kyu na kahe mujtaba assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

7) Beriyaan roti raheen tauq bhi rota raha
aabley peron ke yeh kahtey rahey ja baja (x2)
kya hay kaleja tera kya hay tera hosla,
tujh ko kahey ga jahan sabr-o-raza ka khuda
Assalam assalam Aabid-e-muztar (x2) jaan-e-shah-e-karbala assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

8) Subh sa ta asr jo lashey uthata raha
pyaasa raha dasht main roti rahi alqama (x2)
teer lagey is qadar chhalni badan hogaya,
pyaasey kay halqoom pay shimr ka khanjar chala
Assalam assalam sibtey payamber (x2) haaye qateel e jafa assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)

9) Aag say daman jala dasht main gohar chhiney
seh naheen sakta koyi zakhm jo tujh ko miley (x2)
daagh-e-yateemi mila munh pay tamanchey lagey,
Assalam assalam baali Sakina (x2) kehtey hain aanso merey assalam
Assalam Assalam kunba-e-rasool Assalam (x4)