Daro deewar se zindan ke aati thi sada , mar gayi dukhtare Shah
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

1) Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gayi dukhtare Shah
Shor hay haey Sakina ka zamane may utha - mar gayi dukhtare Shah

2) Tu hay Shabbir ke nazon ki pali jane Rabab - kuch to maa ko de jawab
Baithi sirhane ye chillathi hay kab se dukhiya - margayi dukhtare Shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

3) Sab ko khoya par teri aas pe jeeti rahi maa - ab thuje dhoonde kahan
Uske dil se na kabhi gham tera hoyega juda - mar gaye dukhtare Shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

4) Naaz uthanay ko na baba na chacha thay tere - bas may kia tha meray
Qaidiye tauqo salasil tha ye bhai tera - mar gaye dukhtare Shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

5) Baap se chutne ka gham tha tujhe shamo saher - dard liya ye asar
Phir se taza howa hay aaj ghame Shahe huda - mar gaye dukhtare Shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

6) Shahe mazloom ke seenay pe thi sonay wali - haye marnay wali
Tahe khanjer bhi Shahe deen ko khayal iska raha - mar gaye dukhtare Shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

7) Kabhi chillathi thi Abbas chacha tum ho jahan - lay chalo mujhko wahan
Yaad me har ghari baba ki rahi sarfe buka - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

8) Shimr aya hay kyon bhai se lipat jati nahi - darke chup jathi nahi
Choti khawher pe kahre ro rahe hain zainuleba - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

9) Bibiyan peetti hain sarko basad aho fughan - aur be haal hay maa
Yazeede nahes bhi sunkar ye pashemaan howa - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

10) Paas hay maal na chadar na azeezo yawar - aik Zainabe muztar
Kaise bhai ki nishani ko chupaye dhukhiya - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

11) Thay tamanchay kabhi sayli kabhi kismat me teri - aur ye be pidari
Tera bachpan baray andoho alam se guzra - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah

12) Tere gham may bahaingay ashk sada Zainab ke - jo hai Qurbaan tujh pe
Dil tarap uttehga jis dam ye parhaygi noha - mar gaye dukhtare shah
Daro deewar se zindan ke aati thi sada - mar gaye dukhtare Shah