Sajjad main Zainab hun, meray sar pay rida koi nae, bazaare jafa Majma hay Kufiyon ka, meray chalnay ki ja koi nae, bazaare jafa 1) Sajjad meray sar say adaa nay cheeni chadaar Balvay main nabi zaadi phirwaye gaye dar dar Mil jaye rida mujh ko, aur meri dua koi nae, bazaare jafa 2) Sajjad chalun kaisay lakhoon hain tamashai Yaad ata hai reh reh kay Abbas mera bhai Faryaad karun kis say, ab teray siwa koi nae, bazaare jafa 3) Sajyad meray dil ko yeh dard satata hay Sar Ghazi ka naizay say jab khaak pay aata hay Sar mera khula dekhay, gham is say bara koyi nae, bazaare jafa 4) Maloom hay ada ko Ghazi ki behan hoon may Bay Dast hay woh Ghazi paband-e-rasan hoon may Yaad ayi wafa us ki, jab paas raha koyi nae, bazaare jafa 5) Majboor hun baikas hoon main ro bhi nahi sakti Durron ki aziyat say main so bhi nahi sakti Is darde museebat may, hamdard mera koyi nae, bazaare jafa 6) Sajjad teri halat dekhi nahi jaati hay Bay parda mujhay dekhay yeh baat rulati hay Sajjad teri tarha, kanton pai chala koyi nae, bazaare jafa 7) Moat aayi gi zindaan main meri baali Sakina ko Kiya ja kay bataoon gi beemare Medina ko Gham dil pay uthanay ko, ab baaqi bacha koyi nae, bazaare jafa 8) Jataa hay su-e-zindaan ab kunba Muhammad ka Raasi main bandhay qaidi kantoon say bhara rasta Ummat nay sitam dhaye, kismat say gila koyi nae, bazaare jafa 9) Bazar-e-sitam mein tha Zainab(s.a.) ka ajab aalam, Mazhar mein likhoon kaisey zalim nay kaha jis dam, Hai kaun tera waris Zainab(s.a.) nay kaha koi nahi, bazaare jafa
|