Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 1) Basti basti qarya qarya, tera hota rahe maula matam (x2) Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 2) Tera matami aey meray Maula, Dunya ke kisi konay may gayaa Musruf raha matam me tere (x2) deta he sukoon tera matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 3) Jab dil ne kaha ayain Zehra, mere ghar may bahaane ashke azaa bas maine bichake farshe azaa (x2) kuch dair kiya barpa matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 4) Kal haath bandhe thay Zainab ke, majboor behen thi matam ke liye majlis he teri ghar ghar barpa (x2) ab karti hai sab dunya matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 5) Abbas ke shane kat to gaye, Masoom tere pyaase hi rahay Gazi ke liye bacho ke liye (x2) ab karta hay yeh darya matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 6) Aashoor ko jab suraj nikla, Zehra ke bhare ghar ko dekha par chand ne Zainab ko dekha (x2) karti hay bhare gar ka matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 7) Karbal se safar tha Shaam ka jab, lashe pe pukari ye zainab, taa hashr teri mazloomi par (x2) karnaa hay mujhe bhaya matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 8) Jo karbobala se Shaam gayi, wo binte Zehra binte Ali, Sab mayain behnain milkar ab (x2) karti hain sadaa uska matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) 9) Beemar tha aur zanjeere theen, pairo ke tale jalti thi zamin Sajjad ke gham me roro kar (x2) karta hai har ek rasta matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2) basti basti qarya qaya (x2) tera hota rahe maula matam Ghar ghar matam, dar dar matam, tera hota rahe Maula matam (x2)
|