Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay Rokar Pukari Nana Aay Faryad Laaie Hoon, May Choor Kar Hussain Ku Jungal Main Aaie Hoon Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
1) Nana Ajeeb Saanahai Ham Par Guzar Gaya Ranj-o-Alam Ne Gher Liyaa Hum Jidhar Gaye Nana Khudaa Kai Ghar Mai Na Hum Ku Amaan Mili Bhaaie Ne Shahar Choor Ke Jangal Ki Raah Li Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
2) Nana Hamain Na Chain Mayassar Kahain Huwa Paani Bhi Bandh Hum Pai LayeNoon Nai Kardiya Nana Tumhari Aal Pai Kya Kya Sitam Huwai Bachai Tarap Kai Mar Gaye Paani Kai Waastai Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
3) Nana Shaheed Ho Gaye Bhayee Kai JaanNisar Ek Ek Kar Kai Mar Gaye Ashab-e-Zee waqar Nana Bala Kai Ban Main Qayamat Ka Run Para Bhayee Sai Bhayee Baap Sai Beta Bichar Gaya Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
4) Nana Zameene Karbobalaa Laa Hogayi Qasim Ki Laash Ghooron Se Paamaal Hogayi Nana Kataa Ke Shanon Ku Abbas Margaye Ghurbat Me Bhaaijaan Ko Be Aas Kargaye
Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
5) Nana Tumhari Shakl Ka Farzand Ek Jo Tha Khaa Kar Sina Jigar Mai Wo Mehru Bhi Chal Basa Nana Shaqi Ki Teer Se Asgar Huwa Shaheed Aisa Huwa Na Hoga Jahaan Main Sitam Shadeed
Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
6) Nana Hussain Bai Kas-o-Bai Yaar Hogaie Aamada Qatl Karnai Ku Kuffar Hogaie Tarpai Jo Zer Khanjare Bai Aab Shahai Deen Shimre Layeen Kai Zulm Sai Thar Ra Gaye Zameen Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
7) Nana Hamare Ghar Ka Sab Asbab Lut Gaya Nana Hamare Sar Pe Na Baqi Rahee Rida Nana Hazaar Tarha Jafa Ki Layeeno Ne Khaimo Mai Aag Lagaadi Laeeno Ne Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
8) Nana Huwi Aseer Tumhaari Nawasiyaan Kauno Makaan Main Chaa Gayi Gham Ki Udaasiyaan Nana Haram Hussain Kai Bazaar Main Gaye Hum Sar Barehna Kufe Ke Darbar Main Gaye Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
9) Nana Tumhaari Aal Gayi Mulke Shaam Mai Pohnchi Ali Ki Betiyaan Darbaare Aam Mai Nana Haqeer Sahebbe Tatheer Hogaye Ham Log Shehr Shaam Main Tash-Heer Hogaye Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
10) Nana Aseer Bara Thai Hum Ek Thi Rasan Baandhe Gaye Thai Misle Gunaahgaar-e-Khastatan Nana Hum Apne Haal Pe Rote Thai Zaar Zaar Nana Hamaare Roonai Pe Haste Thai Badshaiaar Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
11) Nana Ajeeb Haal Hamaaraa Tha Us Ghadi Ek Bibi Pichhe Dusri Bibi Kai Chupti Thi Us Wakt Thar Thari Si Merai Tan Main Par Gayi Sad Haif Hai Zammen Main Zainab Na Ghar Gayi Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
12) Itne Me Ek Shaami Nai Nana Ghzab Kiya Saidani Ku Kaneezi Main Apni Talab Kiya Hoti Thi Laakh Zillaten Hum Dekhte Rahe Hans Hans Ke Taaziyaane Sitam Jhelte Rahe Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
13) Nanaa Tabaah Hoke Ham Aaye Hain Shaam Se Ek Daaghe Nau Sakina Ka Laaye Hai Shaam Se Nana Hamare Tan Pe Nishaano Ko Dekh Lo Ab Tak Hai Neel Rassi Ke Shaanon Ko Dekh Lo Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
14) Zainab Dekha Kai Shanoon Ku Jab Karrahi Thi Bayaan Tharaa Rahaa Tha Rouzae Sultaane Mashraqain Bas Khatm Kar Nashar Ye Ghamnaak Daastaan Rotai Hain Is Alam Main Zameen Aur Aasmaan Rozay pay Mustafa ke udasi si chaie hay, Kunbe ko khoke Zainabe nashaad aaie hay
|