Na pathar maro may Zainab hun Main bai watan main bai rida bahi maira mara gaiya Baba Ali maa Syeda kaartai ho kyun muj paar jafa 1) Mehmaan bula ker loot liya qaata hai mairai bahi ka gala Bai ghor-o-qafan hai fauj-e-Khuda ai ahlai sitam ai ahlai jafa Main Zainab-e-khasta jigar, jalti zameen pai hai safar Bahi ki hun main noha ghar kyun na kahun saar peet kaar 2) Ayi thi bhara ghar lai ker main tum nai woh bhara ghar loot liya Lootin hai ridain bhi saar sai seh roz hamain paani na diya Khoon sai bhara hai pai-rahan zakhmi hai pehlai sai badan Ho ti hai seenai main dukhan main who waqar-e-Panjetan 3) Kaanton pai chalatai ho ham ko bai jurm satatai ho ham ko Dikhla kai azeezon kai lashai tum log rulatai ho ham ko Main dukhtarai shair-e-Khuda, nana mera hai Mustafa Cheeni hai kyun meri rida tumko Khuda ka wasta 4) Dorao na untho ko aisai bachon pai zara kuch reham karo Maaon kai dilon kai aai zaalim is zulm sai tum tukrai na karo Kaartai ho kyun ham per sitam ghut nai laga bachon ka dam Ham sab nabi kai hain haram tum ko Muhammad ki kasam
|