Zainab ne kaha ro kaar Abbas kahan ho Ay Bhai mere lo jald khabar (x2) 1) Lasha hai jawan shehzade ka, aur Sheh pe zaeefe ka alam Hasrat se tarap kar dekhte hain darya ki taraf har ek kadam Kehti hain ye ro ro kaar, Abbas kahan ho 2) Rakha hai julasti raiti par, che maa ke bete ka laasha Farzande nabi ki ghurbat par, roti hai zameene Karbobala Tanha hai ran me Sarwar, Abbas kahan ho 3) Ab foje sitam ne ghaar liya, ahmad ke navase ko haey Pyasa hi kahin ye marna de, seh roz ke pyase ko haey Hai shimaar ke haath me khanjer, Abbas kahan ho 4) Halat pe humari rota hua, ashur ka suraj doob gaya Ghurbat ke andhere phel gaen, khamosh hua kar ek diya Shabbir hain aur na Akbar, Abbas kahan ho 5) Zalim ke jafaae seh seg ker, be haal Sakina hoti hai Lagte hain tamache bachi ke, masoom Sakina roti hain Ab koi nahin hai yawar, Abbas kahan ho 6) Sehme huey pyaase bachon ko, has has ke rulate hain zalim Asbab humara loot liya, khaimo ko jalate hain zalim Chinti hai meri chaadar, Abbas kahan ho 7) Kahin raakh pari hai khaimon ki, kahin laashe pare hain khoon me tarr Sehdaniyan ran me roti hain, Aulaade nabi hai khaak basar Faryaad kunnah hai khwahar, Abbas kahan ho 8) Halat pe humari rota hua, ashur ka suraj doob gaya Ghurbat ke andhere phel gaen, khamosh hua kar ek diya Shabbir hain aur na Akbar, Abbas kahan ho 9) Abbas-e-dilawer ka laasha, saahil pe pachare khaney laga Us ghairat dar ki ghairat pe, darya ka jigar tharrane laga Tab ayi sasdaae kwaaher, Abbas kahan ho
|