Hasnain pay yateemi taqdeer lay ke aayi Mola Ali ka ghaam main maghmoon khudayi (x2) 1) Talwaar-o-zehar dono baba kai sar pay baham Baiton nai yeh virasat aik aik ker kay payee 2) Woh chal basa yateemon baivaon ka sahara Karta tha jo hamesha dushman say bhalayee 3) Kaisa sitam huwa hay baad-e-Ali Khudaya Ummat hai baitiyon ko bazaar-e-shaam layee 4) Hy kaamp utha tha Kufa Zainab ki aah buka sai Jinno bashar malaaik day tay hain sab duhaee 5) Aghaaz ho gaiya hai Karbal ka ya khudaya Sajday main jab shaki nay talwaar hay chalayee
|