Kesay darbaar main gayi hogi, ay nabuwat ki abroo Zehra Hasray hay tamaam kalma goh, karti ro kaar jo guftagu, Zehra 1) Jo masayab Batool par aayay, din te partay to raat ho jaati, Karti jo badua kabhie Zahra, katam yeh qayanaat ho jaati, Baad baba kay na sakoon paaya, kaisai jeeti rahee hay tu, Zehra 2) Teray Shabbire nay Karbal may, dheen bachanay ko saar kataya hain, Teri sunnat adda ki Zainab nay, khutba darbaar mai sunaya hain, Tu sahaabi ke samnay royi, voh sharabi ke rubaru, Zehra 3) Kabhie Yasrub ki pakh basti main, kabhie Karbal ke hee biyaba�n hay, Kabhie Kufay ki tang galiyon main, aur kabhir Shaam walayn zindaan main, Deen ki sarfarazi ko har dum, kaam aya tera lahu, Zehra 4) Yeh toh saab raviyon nay lika hay, hashar main jab Batool aayai gi, Khoon bhara kurta paakh betay ka, bazoo Abbas bay vi laiay gi, Matami jo Hussain ka hoga, usko karday gi surakhru, Zehra 5) Yeh vo bibi hay jiskay bachon ko, saray nusranino maana tah, Hy darbaar may musalman nay, inki azmaat ko nah pechana tah, Chun ke tehreer ki subi tukray, dekhti rokay charsu, Zehra 6) Jo tera ghaar jilanay aaya hay, voh toh janat may ja nahin sakda, Jo teray ghaar te rohdiya hay, kabhie usko dosak jila nahin sakda, Uski baqshish assan nahin hogi, jo bhi hoga tera adhu, Zehra
|