Ghar ghar me Saf e Maatam e Shabbir bichaa de,
nemat gam e shabbir ki gar tujh ko khuda de, duniya ko payaam e shah e mazloom sunaa de, maatam ki sadaa se dil e baatil ko hilaa de, pardaah jo nigaaho pe padaa hay, duniya ki hataa de. Ghar ghar me Saf e Maatam e Shabbir bichaa de.
hay mard wahi kar ke jo waade ko nibhaae, ek sar ki zaroorat ho bahattar ka galaa de, baazoo e alamdaar de, behno ki ridaa de, jo kuch bhi ho sab raah e mohabbat me kataa de, Itna de, ke badle me Khuda soche ke kya de.
duniyaa me sadaa ban ke raho haq ke payaami. zaalim ke mukhaalif raho, mazloom ke haami, aamaal ko khaajaati hay, Imaan ki khaami, har ek ko milti nahi sarwar ki gulaami, Daulat ye mayassar hay oose jisko Khuda de.
haq kya hay zamaane ko bataate huwe niklo, parda rukh e baatil se hataate huwe niklo, jaage huwe fitno ko sulaate huwe niklo, sote huwe zehno ko jagaate huwe niklo, Naara wo karo kufr ki deewaar ko dhaa de.
kausar gam e sarwar me lutaate huwe niklo, rote huwe duniya ko rulaate huwe niklo, mazloom ka paygaam sunaate huwe niklo, abbas ke parcham ko uthaate huwe niklo, Har naqsh e Qadam raah e Haqeeqat ka pataa de.
batlaao ke Shabbir saa rehbar naa milega, kaunayn me unn kaa koi hamsar naa milega, sardaar e jinaa saaqi e Kausar naa milega, iss dar ke siwaa aur koi dar naa milega, Jiss dar pe farishte bhi gadaa ban ke sadaa de.
mumkin naa huwaa karke jo sarwar ne dikhaayaa, khushnudi e maula me bhare ghar ko lutayaa, akbar ko uthaayaa kabhi asgar ko sulaayaa, shabbir ne sar deke zamaane ko bataayaa, Zinda hay wahi maut ki gardan jo jhukaade.
badhte huwe baatil ke qadam todne waale, eewaan e takabbur ke sanam todne waale, ay tashn dahan khaak pe dam todne waale, hayraan hay khud tujh pe sitam todne waale, Hay kaun tae teg jo ummat ko dua de.
ye sabr ye zabt aur ye himmat nahi dekhi, insaan ki meraaj ye azmat nahi dekhi, juz tere kisi me bhi ye jurrat nahi dekhi, haydar ki qasam ham ne ye quwwat nahi dekhi, Qillat se jo qasrat ke iraado ko mitaa de.
kehne ko musalmaan the wo zulm ke baani, mehmaan bulaakar naa diya shaah ko paani, mitti me milaadi ali akbar ki jawaani, ham shakl e payambar thaa wo shabbir ka jaani, Tasweer ka ye rukh bhi zamaane ko dikhaa de.
chehre pe male khoon qadam tez badhaae, ek nanhi si mayyat ko kaleje se lagaae, ye kaun chalaa jaataa hay gardan ko jhukaae, maa dar pe hay khayme ke kahee dekh naa paae, Fizza se kaho khayme ke parde ko giraa de.
|