Labbaik ya Hussain Labbaik ya Hussain
Khaliq hay lashareek to yakta Hussain hay Naizay pe baad e qatl bhi, zinda Hussain hay Labbaik ya Hussain
Hur ne kaha Hussain hay wahid sakhi tareen Naqsh e qadam pe jis ke bani, raahe mustaqeem Mabood ki wo aayat e Kubra Hussain hay Labbaik ya Hussain
Suntay hi jis ke naam ko ansoo nikal parain Chahay agar to chashma e zamzam ubal paray Phir bhi kamal ye hay ke, pyasa Hussain hay Labbaik ya Hussain
|