Hamsheer alwida
Efforts: Syed Asad Abbas Zaidi



LAASHA-E-SHAH (a.s.) SE MAQTAL ME YE ATI THI SADA
HAMSHEER ALVIDA, HAMSHEER ALVIDA

SAR KHULE SHAM KE BAZAAR ME JANA HAI TUMHE
KHUTBA DENE KO BHI DARBAR ME JANA HAI TUMHE
KUFR KI ZAD SE BACHANA HAI TUMHE DEEN-E-KHUDA

HAR QADAM PAR NAHI SAH PAYEGI WO RANJ-O-MALAL
MERI MASOOM SAKINA (s.a.) KA BHI TUM RAKHNA KHAYAL
QAIDKHANE ME USE KHAAK PA SONA HOGA

BANIYE ZULM SE DARTI THI NA GHABRATI THI
JIS KE HOTE HUE TUM CHAIN SE SO JATI THI
WAQT-E-GHURBAT ME HUA TUM SE WO GHAZI BHI JUDA

QAIDKHANE SE YAHA’N LAUT KE ANA ZAINAB (s.a.)
MERI MAJLIS MERI TURBAT PA KARANA ZAINAB (s.a.)
KARNA IS DASHT ME DIL KHOL KE MATAM MERA

JIS GHADI SHAM KE BAZAR ME TUM JAOGI
TUM SARE NAIZA MUJHE ROTA HUA PAOGI
MUJH SE DEKHA NAHI JAYEGA WO MANZAR GHAM KA

DASHT-E-KARBAL SE KHUDA HAFIZ-O-NASIR ZAINAB (s.a.)
KHOO’N KE MAQTAL SE KHUDA HAFIZ-O-NASIR ZAINAB (s.a.)
DAFN KARNE KO MUJHE AYEGA MERA BETA

ZULM SAHTE HUE TUM KO YE SAFAR KARNA HAI
BERIDA REHNA HAI FAQO’N ME GUZAR KARNA HAI
BAAD MUDDAT KE TUMHE AHLE SITAM DENGE RIDA

KAISE YAQUB SE MANZAR YE SHUJA HO TEHREER
SISKIYA’N LENE LAGI SIBTE NABI (a.s.) KI HAMSHEER
APNE MAA’N JAYE KI MAQTAL ME SUNI JAB YE SADA