Zuljanah, zuljanah (x3) Kuch der theher ja zuljanah. Zuljanah, zuljanah (x3)
1) Sine se lipat ne de muje) Ay wasta zehra ka tuje roro ke sakina, ne kaha (x2) Maktal me abhi ley kar na jaa (x2) Pyaasa he bohot baba mera. Zuljanah, zuljanah (x3)
2) Bachpan pe mere kuch, rehem kha) Ta umre tuje dungi dua Zakhmi he bohot mera padar (x2) Reh kar nahi ese me safar (x2) Jalti he zamin-e karbala Zuljanah, zuljanah (x3)
3) Ik roz me khali, gar huwa) Aya na palat kar jo gaya Pero se lipat ti hu tere (x2) Be aas na ho ne de muje (x2) Hay kon mera sheh ke siwa Zuljanah, zuljanah (x3)
4) Amu ki judayi, kam he kya) Baba ko bhi lay kar, tu chalaa Kya mujse huwi koi khataa (x2) Baba se na kar mujko judaa (x2) Ya laash se meri ho ke jaa Zuljanah, zuljanah (x3)
5) Teri baad na chorungi kabhi) Manzur he mujko tashnagi Bas itna karam ay, asp kar (x2) Barbad na kar zehra ka gar (x2) Baba ko mere le kar na jaa Zuljanah, zuljanah (x3) 6) Din dhal gaya lashe na mile) hay darde padar ke shaane me Kuch der zara aaram de (x2) Kyu or rulaata hay muje Kuch der ko tu bhi beth jaa Zuljanah, zuljanah (x3)
7) Ye wakt wafaadari ka hai) Ye wakt namak khari ka hay Barso ki ri fakat ka siyaa (x2) Aise to na de ay ba wafa (x2) Dil ehle haram tha na pukar Zuljanah, zuljanah (x3)
8) Me jaan ti hu, majbur hu) Tu meri tarha ran jure hu Zanjir he hakh me shah ki (x2) He ankh me tere bhi nami (x2) He hal me maktal dukh tera Zuljanah, zuljanah (x3)
|