Gham mein dooba hua Karbal ka musafir dekha Rotay Shabbir ko Zahra ki lehad par dekha
Apna sar maar kay deewar say roya Ghazi Jab Nabizaadi ko aatay huye bahar dekha
Noor aankhon ka gaya katilon say puchay Hussain Koi batlaaye kisi nay mera Akbar dekha
Door tak phaili hai Qasim ki jawani rann mein Dair tak dhoondta phir Sibt e Payambar dekha
Ravi likhtay hain kay Sajjad ko jab hosh aaya Jaltay khayam mein Zainab ko khulay sar dekha |