Hussain walay ye ailan e aam kartay hain Ham apnay ashkon ko Zehra ke naam kartay hain
Haqeeqaton ke fasany chupa nahi saktay Zaban e khalq pe khanjar chala nahi saktay Hamaray khoon ke qatray kalam kartay hain Ham apnay ashkon ko Zehra ke naam kartay hain
Khushi ke lab hain teh e tegh zulm beet gaye Yazeed haar gaya aur Hussain jeet gaye Isi khabar ko zamany may aam kartay hain Ham apnay ashkon ko Zehra ke naam kartay hain
Saja ke mashk e Sakina jari ke parcham may Ghamon ki aag lagi di tamam aalam may Yazeed e waqt ka jeena haram kartay hain Ham apnay ashkon ko Zehra ke naam kartay hain
Ba fazl e Fatima Zehra Hussain ke sadqay Lab e Khaleel pe lab par Mujeeb ke noha Hussainio ke dilon may qayam kartay hain Ham apnay ashkon ko Zehra ke naam kartay hain
|