ali haaye ali ali haaye ali aaj kufe me hai kohraam ali haaye ali hai falak larza bar andaam ali haaye ali
kaun zakhmi huwa sajde me zameen kaamp uthi kiska ye khun bahaa subha andhere me dhali kyun ajal laayi hai paygaam ali haaye ali
farqe insaaf pe ye zarb lagaayi kisne mazhare adl ki tasweer mitaayi kisne sar pe ab zulm ki hai shaam ali haaye ali
khul huwa haaye yateemon ka sahaara na raha kaun zainab ko bataaye tera baba na raha kaise paayegi wo aaraam ali haaye ali
aaj phir gulshane zehra me khiza aayi hai ranj o aalaam ki har samt ghataa chaayi hai tham gayi gardishe ayyaam ali haaye ali
shabe hijrat jo raha nafse payambar ban kar faatahe badr o ohad faatahe khaybar ban kar uth gaya mohsine islaam ali haaye ali
ghash me hain zainab o kulsum khuda khayr kare dile abbas hai maghmoom khuda khayr kare kaamp uthe hain dar o waam ali haaye ali
kar rahe hain dar o diwaar ali ka maatam aasmaan jinn o malak nauhakunaa hain payham kaise dil ko mile aaraam ali haaye ali
aale ehmad ke masaaib ki nahi koyi had saamra ho ke najaf ho ke madina mashhad kufa o karbobala shaam ali haaye ali
hai zafar waqte dua maang le ab ro ro kar jab likha jaaye ghulaamaane ali ka daftar us me shaamil ho mera naam |