Jungal may bharay ghaar ko luta aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina Abid ko kisi tarha bacha laayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 1) Bandwakay rasan haaton may aur khutbay sunaakay, ghaar baar lutaakay (x4) Dewaar baray kufar say dha aayi hai Zainab, ay shehr-e Madina 2) Jis shehr may shehzaadiyo ki tarha rahi thi, naazon say paali ti (x2) Saar nangay ussi shehr may ho aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 3) Jo hijre padar may rahay har waqt parishan, sooyi nahin ek aan (x2) Us bachi ko zindaan may sulaa aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 4) Dhaaras thi bahot bhai ko jis bhai kay dam say, dil phat-ta hai ghum say (x2) Saahil peh akela usay choor aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 5) Chay maah kay Asghar ko bhi jhoolay kay bajaaye, dukh daard chipaaye (x2) Aaghosh may turbat kay sulaa aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 6) Tay Awn-o-Mohammad jo meri aankhon kay taaray, mamu kay dulaaray (x2) Qurbaan unhay bhayi par kar aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 7) Ta Akbar-e-nashaad jo is ghaar ka ujaala, wo gaysuon wala (x2) Marqad may akela usay choor aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 8) Naadim hai bahot laa saki Qasim ko na humra, wa hasrato darda (x2) Kubra ko magar saath liye aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 9) Pani jo piye ahle watan pyaas na bhulay, mou ashkon say dholay (x2) Kehne ko ye bhai ka payaam aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 10) Manzar wo bhula sakti nahi ta dame aakhir, hai kehne se qaasir (x2) Jo shaam kay darbaar may dekh aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 11) Kis waqt khuda jaane qadam nikle thay ghaar se, chaadar chini saar say (x2) Ab tak na masayab say nikal paayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 12) Shabbir peh ab royega ta hashr zamana, hai ghum ka fasana (x2) Majlis ki bina Shaam may daal aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina 13) Rehjaayega Akhtar ufaqay ghum peh tera naam,kya khoob inaam (x2) Noha tera sun-nay kay liye aayi hai Zainab, ay shehr-e-Madina
|