Dastan e Shuja’at ka daraein mein aik bay misl kirdaar Abbas hai Hain Ali kay athaara hi betay Ali par sabhi mein Alamdar Abbas hai
Sahib e takht e aqleen ghairat hai yeh Aur chiraag-e-hareem-e-sharafat hai ye Dor e shehwar e behr e sakhawat hai ye Haq to yeh hai ke haq ki haqeeqat hai ye Wo duaein jo Bibi jjh nay sajdon mein ki un duaon ka maya’ar Abbas hai
In kay lehjay mein Hashim ki hashmat bhi hai In kay tewar mein Hamza ki haibat bhi hai Har adaa in ki Imran ka aks hai In ki baahon mein Jaffar ki taaqat bhi hai Pyaar hai Mustafa ka Hussain o Hassan Aur Hasnain ka pyaar Abbas hai
Dakhl-e-azmat ka shireen samar hai yehi Ismaton kay sadaf kay gohar hain yehi Noor ki sidratul muntaha hai yehi Hashmi asmaan kay qamar hain yehi Jin kay saaye mein Akbar bhi paltay rahay Husn ka aisa minaar Abbas hai |