Jukta huwa alam jo nazar aya shah ko. Wapas jo dekha nehr pa ate sipah ko. Bole hussain kaise ke aik lambhi aah ko. Benur kardiya mere bhayi nigaah ko. Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2) Chal gaye baad teray (x2) qalb pe talwar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2) 1) Bund pani ke liye haat katane wale Pyaase bacho ke liye khun bahane wale Kisliye sogaya tu (x2) Nehr pe gamkhwar mere Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2) 2) Tere dam pe mere lashkar ka bharam baki tha Ay alamdar tere sath alam baki tha Kardiya tanha mujay (x2) Tu nay madadgar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
3) Juk gayi meri qamar phat gaya sina mera Jis ghari kat ke gira khak pe bazu tera Sainkron teer chale (x2) Dil se huwe paar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
4) Pani jis dam se bhara khun bahayaa us utna Mashke ke sath jigar karliya zakhmi apna Tere qurban gayaa (x2) May to wafadaar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
5) Alatash ki ye sadaa tum bhi to sunte ho gay Khaymo me aaho buqaa tum bhi to sunte ho gay zoo fisha gham me tere (x2) hain daro diwaar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
6) Khali kuzoon me bhare bacho ne ansu apnay Kehti hay bali Sakina koyi faryad sunay legaya cheen ke dur (x2) Shimr sitamgaar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2) DORAY ----------------------------------------------- Inse sikhe koi Shabbir ki nusrat karna Mayi ni hajre risaalat ki hifazaat karna Aaj bhi parchame abbas hai aage aage Inki miras me ayaa hai kayadat karnaa ----------------------------------------------- Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
7) Bole sheh hashr talak rasm rahay gi jaari Sari duniya me jahaa ho gi yeh matam dari Tum jalooso ke ho gay (x2) qafela salaar meray Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2)
Chalgayi baad teray (x2) qalb pe talwar mere Haey Abbas meray, haey alamdar meray (x2) |