Fizza Teri Wafa Ki Had Akhri Yehi Hai
Efforts: Abbas



Fizza(sa) Teri Wafa Ki Hadh Akhri Yehi Hai

Zainab(sa) Kay Sath Tu Bhi Bazaar Mein Khari Hai

Tu Nay To Syedon Ka Abaad Ghar Bhi Dekha
Aur Kis Tarha Hua Wo Barbaad Ghar Bhi Dekha
Kis Nay Kissay Sataya Tu Khoob Jaanti Hai

Jub Hassan(as) Ka Janaza Wapis Hay Ghar Mein Aaya
Farwa(sa) Kay Saath Ro Kay Qasim(as) Galay Lagaya
Lash-e-Hassan(as) Say Tu Bhi Rahi Teer Khainchti Hai

Baandhi Hui Rasan Mein Zainab(sa) Jo Shaam Aayi
Teri Qamar Kay Peechay Chupti Thi Zahra(sa) Jayee
Har Mor Pay Dilasay Zainab(sa) Ko Day Rahi Hai

Yasrab Ki Taraf Daikhay Ro Ro Kay Zahra Jayee
Teri Betiyon Pay Nana(saww) Kaisi Qayamat Aayi
Fizza(sa) Kay Bhi Hain Waris Yahan Mera Na Koi Hai

Jub Roti Thi Sakina(sa) Har Baar Chup Karaya
Aur Gash Say Paak Abid(as) Ko Tu Nay Bhi Jagaya
Zainab(sa) Kay Saath Jhirkein Fizza Bhi Kha Rahi Hai

Aal-e-Nabi(saww) Pay Gham Ki Bunyaad Hai Saqifa
Din Raat Ab Hasan To Apna Yehi Wazifa
Jisnay Inhay Rulaya Wo Shakhs Lanati Hai