Kaisa hai dil ye maa ka
Aao batau tumko kehti hai karbala..(2) Kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) Aao batau tumko kehti hai karbala..(2)
1. Ye maa hai umme laila akbar jawaan ki..(2) bete ka toot-te damm jo dekhti rahi baalo pe khoo pisar ka jisne laga liya aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
2. Ek aun ek mohd jo dil ka chain the..(2) paala tha unko shayad ashoor ke liye zainab ne laal dono bhi kar diye fida aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
3. Gathri khuli to pata takseem tha jigar..(2) tukdo pe laal ke jab uski padi nazar farwa ne shukr ka tab sajda ada kiya aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
4. Che maah ke pisar ko kehti rahi rubab..(2) maida me muskurana ae mere mahtaab asghar gale pe khao jab teer e hurmula aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
5. Sab mao se hai afzal madar husain ki..(2) bete ka saaf maqtal baalo se kar gai godi me sar kata hai jiski husain ka aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
6. Ye maa hai paak damann muslim bhi nauhagar..(2) koofe se laal jiske aae na lautkar ghaazi ke baad parcham jisne utha liya aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
7. Ye nauha un bahadur mao ke naam hai..(2) jawad karbala ka unko salam hai sadqe me jinke paai islaam ne baqa aao batau tumko kehti hai karbala kaisa hai dil ye maa ka, kaisa hai hausla..(2) kaisa hai dil ye maa ka
|