Kaun Khatoon ye khaimon se sada deti hai Kamp uthti hai zameen arsh hila deti hai
Kabhi taqdeer ataa karti hai Ghazi ko Alam Kabhi Zainab ko Alamdar bana deti hai
Aik beemar ko kandhay se laga kar Zainab Kabhi Akbar ko Ghazi ko sada deti hai
Ay Khuda teri Khudayi ka bharam reh jaye Leh tere naam pe Zainab ye rida deti hai
Kitne pyaare hain tere Aun-o-Muhammad Zainab Inko to maut bhi jeenay ki dua deti hai
Karbala ki yehi tareef suni hai Kausar Khaak hai aur mareezon ko shifaa deti hai |