Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ghazy ko bachpane me maa ye sabak parhaye
Tere bazuo ke hote (x2) Zainab na ghum uthaye

1) Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi
Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi
Ya rab wo laal de jo Zainab ke kaam aaye.

2) Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar
Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar
Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye.

3) Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna
Jab tak hain saan�s baaqi bankar gulam rehna
Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye.

4) Mein hu kaneez-e-Zahra Fizza se phir bhi kam hu
Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu
Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye.

5) Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda
Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya
Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye.

6) Ab karbala ka manzar raavi ne yun likha hai
Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai
Kiski majaal hai jo Sheh se nazar milaaye.

7) Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat
Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat
Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye.

8) Ghazi ke raaste par nazre hai bibion ki
Aur hai dua musalsal zainab ke ye labon ki
Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye.

9) Rehan Azmi jab be dast ho ke Ghazi
Maqtal me girgaya tha reyti pe Karbala ki
Madar ki wo nasihat Ghazi ko yaad aaye.