Haye SAKINA (SA)
Aaye Baad E Saba Ammu Ko Batana..... Pyasi Hai SAKINA (SA) Is Choti Si Sin Mein Yeh Sitam Mai Ne Uthaie Allah (swt) Kisi Ko Na Yateem Aaisa Banaie
Khud Apni Lahu Mein Koi Bacchi Na Nahaie Mai Tum Ko Bulati Rahi Tum Bhi To Na Aaie Mai Ban Gai Bad Asr laeenon (la) Ka Nishana....pyasi Hai SAKINA (SA)
Pani Ki Talab Mujhko Khilati Rahi Thokar Kehta Tha laeen (la) Doonga Main Faujon Ko Pila Kar Jub shimr (la) Kar Chuka Shehrab Yeh Lashkar Dikhla Ke Mujhe Phenk Diya Pani Zameen Par Tub Sumjhi Main Kya Hota Hai Umeed Dilana.....pyasi Hai SAKINA (SA)
Ek Jaam Hua Shaam E Ghareeba Mein Maiyassar Woh Kuza Main Rakh Aaie Thi Asghar Ki Lahad Par Tha Mujhse Bhi Chota Mera Bhaiya Mera Dilbar Sharminda Main Ho Jaati Chacha Pyas Bujha Kar Ab Apne Hi Haton Se Meri Pyas Bujhana..... Pyasi Hai SAKINA (SA)
Ek Rassi Mein Hum Sub Ke Gale Bandh Ke Aada Karte Hue Tasheer Chale Janib E Kufa Aur Uspe Musibat Yeh Thi Kad Chota Tha Mera Uth Ti Thi Jo Phupiyan Gala Khich Ta Tha Mera Gardan Ka Mere Zakhm Chacha Dekhne Aana..... Pyasi Hai SAKINA (SA)
Jis Roz Se ASGHAR (ASWS) Ko Mila Baba Ka Seena Us Roz Se Ammu Nahi So Paaie SAKINA (SA) Is Haal Mein Jaungi Main Kis Tarha Madina Aajaie Mujhe Maut Hai Kis Kaam Ka Hai Jeena Jaagi Hun Bahut Aa Ke Chacha Mujhko Sulana ..... Pyasi Hai SAKINA (SA)
Ghar Laut Ke Jaati Hai Har Ek Shaam Parinde Kismat Mein Likhe Meri Zindan Ke Andhere Kab Tak Mai Jiyungi Yun Ashkon Ke Sahare Lagta Hai Ke Mar Jaungi Ab Door Watan Se Hoga Na Mayassar Mujhe Ghar Laut Ke Jaana..... Pyasi Hai SAKINA (SA)
Pal Bhar Yeh Sada Parcham E ABBAS (ASWS) Aaie Mai Bhool Nahi Sakta SAKINA (SA) Meri Bacchi Kate Gai Bazu Mere Mujhko Yeh Tha Bibi Mashkiza Alam Mein Hai Laga Dekh Le Ab Bhi Parcham Ka Mere Kaam Hai Dunia Ko Batana |