Aye ahle haram.... Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya....
Hussain....
Maula ki kamar tuti, jis dam yeh khabar aayi Maara gaya darya par, Shabbir ka shaidayi Khoon bhar gaya aakho me, jaati rahi binai Maqtal se Sakina ka woh ghamkhwar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Jab khoon me tar aaya, Abbas ka woh parcham Tapti hui reti par, atfal thay sab be dam Sarwar ne kiya nauha, Zainab ne kiya matam Chillaye haram Gazi-o-Jarrar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain.... Hussain....
Hukm-e-shah-e-wala par, darya ko utha lata Kya karta bhala Gazi, mehroom-e-ijazat tha Koshish to bohot ki par, lakhon me ghira tanha Jab mashk chidi phir woh wafadar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Zehra ke gharane ka, woh zamin-e-chadar tha Maslak me thi saqqai, kirdar me Haider tha Jis waqt katay bazu, Ghazi ke bahay aansu Lene gaye Maula woh dilafgaar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Baccho ki sadayain theen, Abbas chacha paani Ek mashk lahoo dekar, ek mashk bhara paani Us mashk-e-Sakina me, jis waqt baha paani Woh mar gaya darya pe hayadar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Woh sher-e-dilawar tha, tanha bhi jo lashkar tha Afsos labe-e-darya, ek lasha-e-besar tha Halmin ki sada sunta, rota tha tadapta tha Shabbir ka sheda woh madadgaar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Jalte hue khaimo se, Zainab ki sada aayi Aye baba Ali dekho, beti ki yeh tanhaai Yeh mashk-o-alam aaya, aaya na mera bhai Baba mere kunbe ka tarafdaar na aaya....
Alamdar na aaya.... Saqqa-e-hussain Syed-o-salar na aaya.... Alamdar na aaya....
Aye ahle haram meer o Alamdar na aaya.... Alamdar na aaya.... Hussain....
Rehan se Sarwar se, ho dard bayan kaise Jis sher ki dharas par, aabad rahe khaime Jalte hue khaimo se, ghabrake jo Zainab ne Kitni bhi sadae di woh ek baar na aaya....

|