Abbas teri behno ko bazaar mein laaya jatah hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Haye shaam, haye shaam..
Haye Abbas, haye Abbas..
Abbas teri behno ko, bazaar mein laaya jatah hay

1. Suraj ne khule sar jisko, ghar mein bhi kabhi na dekha
Afsos wahi shehzadi, balwe mein gai wawaila
Zainab ki yaha aamad par, darbaar sajaya jaata hay

2. Kis shaan se teri zainab, mehmil me chali thi ghar se
Aur aaj safar par nikli, to raah mein patthar barse
Be parda nabi zaadi ko, galiyon me phiraya jaata hay

3. Kya tujhse kahu ae Ghazy, dekhe hay yaha ghum kaise
Raaho mein sakina teri, paani ke liye gar roye
Bache ko dikha kar paani, reti pe bahaya jaata hay

4. Be dard hay be ghayrat hay, ye shaam ke rehne waale
Aankhon pe pade hay parde, aur inki zaban par taale
Ye chup hay nabi zadi ko, balwe me bulaya jaata hay

5. Ek lamha nahi hay aisa, eeza na koi pohchaye
Thak kar wo kahi gar baithe, sajjad ko neend aa jaye
Haye haye zanjeer hilakar, qaidi ko jagaya jaata hay

6. Dohraya gaya maazi ko, hay zulm wohi aur ghum bhi
Ummat bhi wohi, chehre bhi, darbaar wohi aur hum bhi
Kal amma jahan aayi thi, ab mujhko bulaya jaata hay

7. Raaho mein kisi manzil par, deta jo hume koi chadar
Le jaate hay phir wo chadar, hakim ke sipahi aakar
Ek ghum me teri zainab ko, kai baar rulaya jaata hay

8. Barsaat kabhi durro ki, hoti hay kahi sangbaari
Ae bhay bata kyu na ho,jeene se mujhe bezaari
Sadaat ko in raaho mein, har gaam sataya jaata hay

9. Ye farsh e aza ye matam, Zainab ka qarz hay humpar
Duniya se kahe phir kyu na, Farhan aur Mazhar rokar
Jo aale nabi par guzri, nauho mein sunaya jaata hay

Haye shaam, haye shaam..(2)