Fatima Zahra, fatima Zahra, Zahraaaa.... Fatima Zahra, fatima Zahra.. Ya Zahra.. Ya Zahra... .. Aye meri bibi.. Tere darr pe isteghasa hai Tera mamnoon meri shehzaadi ye jahaan saara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
1. Tu hame hifz aur amaan dede Apni chadar ka sayebaan dede Teri qudrat mein kya nahi bibi Tu jise chahe, do jahaan dede Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Ansuo ne dua maangi hai, Teri tasbeeh padhke dil ne tujhe pukara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
2. Qarz maqrooz ka adaa karde Mufliso ka naseeb waa karde Jinki godi hari nahi bibi Unko aulad tu ataa karde Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Bus tuhi muraad deti hai Teri chaukhat dare ilaahi ka isteaara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
3. Farsh e majlis pe aur musalle par Har jawaan keh raha hai ro ro kar Hum rahe na rahe magar bibi Ta qayamat rahe ghum e sarwar Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Tere bachho ka ghum manate hai Apni aulaad se kai badhke ghum ye pyaara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
4. Un shaheedo ka ye muqaddar hai Sayebaan inka teri chadar hai Inke seeno pe aye meri bibi Daaghe matam nishan e haider hai Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Khuld mein shaheed jab jaaye Teri awaaz aaye, aane do ye hamara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
5. Khoon bankar rago mein hai nauha Meri naslo mein bhi rahe nauha Jaise maine padha hai bachpan se Mera naade ali padhe nauha Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Iske dil mein wilayat e haider Mere maa baap ki taharat ka ik ishara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
6. Tere dil par hai jo sitam toote Zindagi mein jo tune ghum dekhe Aasmano zameen pe gar hote Misle shab wo siyaah hojate Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Dekh kar teri museebat ko Saare aalam ka dil masaeb se paara paara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
7. Tujko ummat ne yu sataya hai, ya Zahra Tujko ummat ne yu sataya hai Marge mohsin pe bhi rulaya hai Tujhko baba ke baad ummat ne Haaye darbaar mein bulaya hai Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Kitne sadme uthaye hai tune Jeeteji tujhko meri shehzadi ghum ne maara hai Zahra.... Ya Zahra.. Ya Zahra... ..
8. Hai yehi mazhar aabidi ki dua Tere bachho ka ghum rahe zinda Saath irfan ke rahe jaari Tere sadqe mein kaarwan e azaa Ya Zahra.. Ya Zahra Aye meri bibi.. Tere darr pe sar jhukate hai Har hussaini ka tere tukdo pe hi guzara hai Zahra....
Ya Zahra.. Ya Zahra... .. Warq e matam shod aalam e baala Meer e mann Maula... Sarwar e Zahra Aaha wa waila..
|