Ya hussain.. Ek shor hai bazaar mein, Ya hussain, ya hussain, ya hussain
Guzra damishq se, jab kaarwaan e azaa Oonton pe thi bibiyaan, koofe ki shehzadiyaan Naizon pe the sab shaheedon ke sar Bhai pe pohchi behen ki nazar Kehne lagi wo behen nauhagar Mai dekhti rahi hun teri jung e karbala Hussain ya hussain
Mai dekhti rahi hun teri jung e karbala Ab mera marhala.. Aankhein na band kar Naiza sawaar bhai, aise quraan padh.. Koi na dekh paaye.., mujhko barahna sar
1. Barsaat pattharon ki, sar nange bibiyaan.. itna kathan hai bhai.., saadat ka safar
2. Teri yaad mein hai roti, sakina bazaar mein.. behlaye usko kaise.., jaaye behan kidhar
3. Chadar ki hai sawali, zahra ki betiyaan.. hota nahi kisi par.., faryaad ka asar
4. Baalon se mun chhupau, ya khaak udhaau mai.. laa de kahin se chadar.., ya ek kaam kar
5. Sab dekhte usi ko, hota agar yahaan.. deta azaan aisi.., akbar mera pisar Allahu akbar
6. Zehmat na tujhko deti, majboor hai behan.. ae bhai har shaqi ki.., naa paak hai nazar Naiza sawaar bhai, aise quraan padh.. Aise quraan padh
|