Qafila aa gaya Haan... Haaye sughra..
Palte zindaan se jis waqt ehle haram Aur nazdeek e yasrab huwe mehwe ghum Haye Sughra, Sughra ne khabar jab paayi Wo ghar se nikal aayi Deti huwi sadaa...
Aao ehle madina aao, phool barsao nazrein bichhao Saare yasrab ki galiyaan sajao.. Ab charagha yahaan.. Bemisaal karo Mere baba ka istaqbaal karo.. Qafila aagaya.. Mere baba ka... Qafila aagaya
1. Guzrenge jahan se baba mere, mehkao wo galiyan saari Tum unpe nichawar jaan karo, Hojau mai sadqe waari.. Is ghar ki bahaare lekar, wo dekho mere darr par Qafila aagaya.. Mere baba ka.. Qafila aagaya
2. Lo aaj phire din sughra ke, kehte hai sabhi do raahe Kal zinda laash ke jaisi thi Ab jeene ko dil chaahe.. Lo badla naseeb is ghar ka, ham shakle payambar ka Qafila aagaya.. Mere akbar ka Qafila aagaya
3. Ek saal huwa veeran huwe, aaghosh meri aur pehlu Ab laut ke aate hai asghar Aur dil pe nahi hai qaabu.. Aai hai meri maadar bhi, hai godi mein asghar bhi Qafila aagaya.. Mere asghar ka Qafila aagaya
4. Ab chayn se soyega yasrab, na khauf hai na veerani Laut aaye safar se ghar apne Wo shere khuda ka saani.. Mashhoor hai jo taaqat mein, lo unki qayadat mein Qafila aagaya.. Mere ghaazi ka Qafila aagaya
5. Nagaah sada sughra suni, kehti hai ali ki beti Bekaar hai tera khush hona Ujdi hai ye sayyed zaadi.. Haye karbobala mein lutkar, zindaan se reha hokar Qafila aagaya.. Tere baba ka.. Qafila aagaya
6. Mat soch ke aaye hai baba, mat soch ke aaye akbar Darya pe chacha sota hai tera Jungle mein hai tera asghar.. Roti hai lahu ye aankhein, ek qaidi ke saaye mein Qafila aagaya.. Tere baba ka... Qafila aagaya
7. Ghum aur khushi ke pehlu hai, kya dard bhara hai manzar Rota hai lahu irfan e azaa Alfaaz bhi tere mazhar.. Zainab ne kaha ghabrake, masooma ko dafna ke Qafila aagaya
|