Meray Ghazy kahaan ho
Teri jageer se, chaal para qaafla, meray Ghazi kahaan ho (x2) Aey meray bawafa, hay behan bayrida, meray Ghazi kahaan ho 1) Tujhko dekhe bina, chain aata nahin Nokay naiza peh sar tera milta nahin May ziyarat karun, kis tarha yeh bataa, meray Ghazi kahaan ho 2) Laaj rakhlo behan ki biradar meray Khaak maqtal meray sar ka parda banay, Hukm daido zara, muntazir hay hawa, meray Ghazi kahaan ho 3) Teray bazu mujhe rastay may milay Menay chadaar samaj kaar woh saar paar rakhay Bazuwo seh tera, poochti hoon pata, meray Ghazi kahaan ho 4) Dekh kaar behan ko dasht main nangay saar Kya haya aa gaye, chup gaye ho kidhar, Khud chali awungi, tum bataado zara, meray Ghazi kahaan ho 5) May nay bachpan may lori sunaye tujhe May nay chalna sikhaya tha bhaye tujhe Raahe pur khaar paar, mujhko chalna sikha, meray Ghazi kahaan ho 6) Woh teri laadli woh Sakina teri Chalte naaqe seh jab khaak paar gir gaye Dekhti reh gaye, woh suway alqama, meray Ghazi kahaan ho 7) Jo banay Murtaza may wo ehsas hun Bay rida bibiyon ki main Abbas hun Tum meri aas thay, aey meray bawafa, meray Ghazi kahaan ho 8) Waris-e-Ambhiya ki main humsheer hun Aale Haider hun Quran ki tafseer hun Koyi Yawar nahi, kisko doon main sadaa, meray Ghazi kahaan ho
|