Ali nay manga tha Ghazi ko Karbala ke liye
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Wafa thi inkay liye aur, ye wafa kay liye
Ali nay manga tha Ghazi ko Karbala kay liye

1) Hussain jhula jhulate tay, inko yeh kay kaar (x2)
Yeh kaam ayenge Zainab teri rida kay liye

2) Na jaane kis liyey Haider nay inkay bazu kay (x2)
Hazaar bosay gale say laga laga kay liye

3) Jari kay pairo ko chuma hai roz-e-ashura (x2)
Yeh khush naseeb rahi mojh-e-al qamaa kay liye

4) Yeh khizr-e-raah hai parchum bhi inka raah numaa (x2)
Samandaro kay sitaaro kay aur hawaa kay liye

5) Alaam kay saaye main aatay hi mill gayi sayhat (x2)
Taras rahay tay kahi din say jo shafaa kay liye

6) Sakina baba say iznay-e-wigaa dilaho hamay (x2)
Zara sa kaam ye kaardo faqat chacha kay liye

7) Laab-e-faraat jo baazu kalam howay inkay (x2)
Bohot baara tah yeh gham ruh-e-Syeda kay liye

8) Unhi kay naam peh Rehan harf miltay hai (x2)
Raza yeh naam wasila hay haar dua kay liye