Akbar teri laash uthaye kaise Hussain
dil thaame huwe aur kham hai kamar beenayi nahi aur zakhmi jigar akbar teri laash....
ay beta zaeefi hai aisi raasha hai badan may baba ke abbas nahi qasim bhi nahi imdad ki khaatir kaun aaye liye boj isi gham ka dil par akbar teri laash....
sadmo ki thakan ne maar diya din bhar to uthaye hai laashe sab sakt ke bandhan tooth gaye beenayi gayi tere gham se tanha hai sare maqtal ye padar akbar teri laash....
ay laal teri soorat ki qasam ab taab nahi hai is dil ko mai boodha padar aur tum ho jawan kya waqt pada itna socho mai bekas o tanha aur muztar akbar teri laash....
khaime may tujhe roti hai phupi aur zeb e musalla hai madar athara baras paala hai tujhe tu khud hi bata ay mere pisar kya beet rahi hogi dil par akbar teri laash....
pardes may mere noore nazar jeete ji mujhe tu maar gaya naize ki tarha ye gham akbar hum sab ke dilon se paar gaya roti hai teri maa ye kehkar akbar teri laash....
karta hoo duwayein khaaliq se qismat na kisi ko de ye gham ho saamne bete ka laasha aur baap kare uska maatam sunle ye dua rabbe akbar akbar teri laash....
taqdeer kisi maadar ko bhi ye gham na dobara dikhlaye beta ho shabihe payghambar maa jeeti rahe wo mar jaye mar jayegi ro ro kar madar akbar teri laash....
jo tere kaleje may thi sina hai zakhmi usi se dil mera kis tarha sina wo khaynchi thi mai tujhko nahi batla sakta dil tukde huwe jaata hai pisar akbar teri laash....
jo bain kiye sheh ne ban may mazhar wo bayan kar sakta nahi seene pe pisar ke sar rakhkar ye kehte rahe bas shahe deen ab zinda rahoo mai bhi kyun kar akbar teri laash.... |