(Ik khawaab main dekha kisi aalim nay yeh manzar Kehta hai koyi karz mera zikhare hai tum paar Mazloom-e-Abbas bayaan kyu nahin kartay Tum loug kabhi meray masayib nahin paartay Saar choor tah, bay wast ta, jab teer jabbi paar Bin haato kay Abbas, giray kaisay zameen paar Mushkil main hai Abbas Museebat main hai Abbas) Is dhubti khashti ko kinara koyi dayde (x2) Abbas ko haatho ka sahara koyi dayde (x2) 1) Jab nehar say paani liye wapas howa Ghazi Bhaghi howi woh fojhay adoor lout ka aayi Baarish howi pyaasay peh wahan teer situm ki Baazu bhi katay, mashk chedhi baig gaya paani 2) Sabir hai larayi kahan izmay milla hay Dil toot gaya mashk peh jab teer laga hay Ghazi ka laaho maskh Sakina say bahaa hay Ghoray peh yeh lehrata yeh dekh raha hay 3) Bay ban ta daar kistara ghir tah zameen paar Bay dosh ka saar kistara ghir tah hai zameen paar Bay shark shajjar kistara ghir tah hai zameen paar Bay datay bashar kistara ghir tah hai zameen paar 4) Ya Jafar-e-Tayaar madad kay liye aawo Ya Syed-e-Abraar madad kay liye aawo Ya Haider-e-Karar madad kay liye aawo Aey sab kay madad ghaar madad kay liye aawo 5) Lehrata hai ghoray peh woh naam-e-shah-e-dilgeer Sahi ki tara jism howa itnay lagay teer Ghirta hai magar ghir nay main hojati hai tahkeer Dekhay koyi mazloom-e-Abbas ki tasveer 6) Hay teer meri aankh main mushkil ki ghaari hay Zakhmi hai badan mera ajaal paas khaari hay Paani nahin pounchaya wasiyaat yeh kaari hay Is waqt-e-Sakina say humay sharam baari hay 7) Jo saath nibhatay tay madad kay liye aaye Jo naaz uthatay tay madad kay liye aaye Jo mujhko sulatay tay madad kay liye aaye Jhoola jo jhulatay tay madad kay liye aaye 8) Dushman meray akah kay yahan saray laheen hay Kuch dair kay mehman hai hum khaakh nasheen hay Jo haath giray khat kay tarap tay woh waheen hay May kaisay dua maangu meray haath nahin hay 9) Saar say bahaa khoon tah dariya hai zameen taak Aur bin haathon kay Abbas ko aanay hai zameen tak Aur Zara ka Qamar kis tarah pouncha hai zameen tak Hay pusht-e-faras fasila kitna hai zameen tak
|