Karbala ek Aftaab aur uski tanweeren bohut Ek kitabae aanghee iski hain taqdeeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Panjatan ke naqsh seeney mein saja kar rakh liye Qasid e taqdeer ne dikhlayee tasweeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Hain bahattar tan shareek e maqsad e gibrieel azeem Ek khalile khwab tha jiski hain tabeeren bohat Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Fauq e Akbar ne azan mein bhar diya kuch aur rang Yuhn to mahshar tak suni jayengi gi taqdeeren bohat Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Nusrat e haq mein tere uqba bani Hurr e Jari Haath mal kar rah gayen duniya ki jaagireen bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Ruk saka kab rasta Sher e Khuda ke Sher ka Rokne ko lakh thi saahil par shamsheeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Bezabaan Asghar ne patthar dil hila kar rakh diye Sun chucke the ashqiya purzor taqreeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Goshiwareen khaich kar ghudka tamachey bhi lagaye Jaise thin us phool si bachchi ki taqdeeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
Bedeiyan pairoon mein aur gardan mein tauq e khaardaar Phir bhi pahnayen gaye Aabid ko zanjeeren bohut Karbala, Karbala ek Aftaab ....
|