Zuljanah zuljanah Logo mere hussain ko dekha hai tumne kya Aaker juloose me yahi Kehta hai zuljanah
1. Aati hai uske khun ki khushbu jo baar baar Mehsus ho raha hai yahi hai mera sawar Aaya hai kya juloos me Mazlume karbala
2. saydaniya tadapti thi mehshar ki thi ghadi Hai yaad mujko aakhri rukhsat hussain ki Zaynab ne mujko saupa tha Beta batool ka
3. Dekha jo maine pyaase ki aankho me intezaar Kadmo ko chum chum ke kehta tha baar baar Sughra ke paas le chalu Gar hukm ho tera
4. Pyaase ka mera zeen pe sambhalna muhal tha Haay barchi jigar me teer badan me ye haal tha Utra tha ek nasheb me Zahra ka laadla
5. Muddat se hai tallash garibud dayar ki Haay pehchaan ek ye bhi hai mere sawar ki Chehre pe khun asghare Besheer hai mala
6. Zakhmo se bewatan ke baha khun is qadar Meri jabee pa baal pe zeen per raqaab per Mazlume karbala ka Lahu hai laga hua
7. Gardan hai uski yu bhi takallum juki hui Apna sawar dhund raha hai ye aaj bhi Bichda hai yu hussain se Ab tak nahi mila
|