Hurr zara pehchaan mujhko
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Hurr zara pehchaan mujhko bolta Quran hun main.

Marzeeyay Rab-e-Jalee hoon, dard ka sultan hoon main.

1) Tu mere bachpan ka wada manga ta tujhko Khudah se
Tera aana Karbala mein likha hai meri Raza se
Tu bahattar main hai shamil x2 Hurr teri pehchaan hun main.

2) Main Hussain ibn Ali hun malik-e-khuld-e-barri hoon
Muthi main dariya hai meray fitratan piyasa nehi hun
Hurr meray seenay seh lag ja x2 aaj ka mehmaan hun main.

3) Deen hai meray karam pe ambiya ki laaj hun main
Ab khudah ko fiqar kaisa Karbala mein aaj hun main
Yeh zameen meri shaha dat x2 la ilah ki jaan hun main.

4) Jung hoti gar gawara bhejta Abbas ko main
Kuch na rehta Karbala mein khatam karta pyaas ko main
Haq o ki batil ki larai x2 main bhi aik maidaan hun main.

5) Sir mera naizay pe hogi saath chadar bhi hogi
Balon ka parda banaye awn ki madar bhi hogi
Mujh pe ehsaan hai zainab x2 deen pe ehsaan hun main.

6) Dekhna Hurr meray ghum may har jagah matam bhi hongay
Khoon jismo se bahein ga momino mein hum bhi hongay
Hun azadaron ka maula x2 nana ka farman hun main.

7) Kufr kay rastay chala tha aabay kauser mil gaya hai
Raat mein Shahroz Hurr ko roz-e-mehshar mil gaya
Hurr ki kia taqdeer badli x2 aaj bhi hairaan hun main.