Kehti hai wafadari virsa hai alamdari bedast hai phir bhi hai alamdar alamdar hai abbas alamdar, saqi abbas alamdar, abbas alamdar
saqqae sakina hai mashkeeza batata hai bhatke huwe logon ko manzil se milata hai matam ke julooso may aage nazar aata hai hai tera alam khaafila salaar alamdar abbas alamdar....
abbas ye tujhse hai izhare wafadari pani ki sabeele ye majlis ye azadari tere kate shano ka sadqa hai mere ghazi naukar hai tere saare azadaar alamdar abbas alamdar....
ye kaisi qayamat hai aulade payambar par be-goro kafan laashe seydaniya be-chadar har bibi ye kehti hai dekho to zara aakar jaate hai haram shaam ke baazar alamdar abbas alamdar....
abbas ka girna tha jalti hui reti par sarwar ki kamar tooti zainab ki giri chadar laashe pe nabi zaadi deti thi sada rokar maara gaya pyaso ka madadgaar alamdar abbas alamdar....
yawar ye hakeekat hai masoom batate hai maula ki ziyarat ko jo khaafile aate hai jab karbobala ke wo nazdeek pahunchte hai lene ke liye aate hai har baar alamdar abbas alamdar.... |