Kehti hai sahar gham ki Akbar tu kahan hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Kehti hai sahar gham ki Akbar tu kahan hay
Sajdai bhi hain afsurda baitaab adhan hay

1) Shaadi ka teri waqat hai ya waqat-e-shahadat
Sehra hai duaon ka aur maa ki zabaan hay

2) Lariyan terai sehrai ki choomai terai seenai ko
Afsos magar terai seenai main sina hay

3) Aur is kai siwa kya hai Islam ka daman main
Aik sajda hai aik zarbat aur aik adhan hay

4) Hay piyaas kai aalam main Akbar ko ajal aayi
Aur saamnai main aankhon kay dariya bhi rawaan hay