Pardesi kunbay walon ki yad jo teer chubhoti hay Nana ke rozay par Sughra chupkay chupkay roti hay
Aanay walay bhai ka rasta takhti hay beemar behan Bhai ki majboor jawani barchi khaye soti hay
Kis ka rona kaisay aansoo ashray ke din asr ke baad Sughra apnay rukhsaron se gard e yateemi dhoti hay
Baap ke seenay par soti thi wo bhi aik zamana tha Aik zamana ye hay Sakina khaak ke ooper soti hay
Akbar ki shadi ki tamanna haey muqaddar Sughra ka Sehray ki larryan to nahi ashkon ke baal piroti hay
Jis ne ummat ki rahon may farsh bichaya pholon ka Ummat us ke beemaron ki raah may kantay boti hay
Abr e khaali daman ko Salman kabhi khali nah kaho Yaad e shaheed e Karb o bala may har aansso ik moti hay
|