Ham ko hay apni jaan se pyara gham e Hussain(as) Qayam rahay jahan may khudaya gham e Hussain(as)
Roz e alast poocha gaya kya pasand hay Be ikhtiyar ham ne pukara gham e Hussain(as)
Jab chaha Syeda(as) ke qadam aayain ghar meray Farsh e aza bichaya manaya gham e Hussain(as)
Kam zarf ko jahan may mila jab bhi iqtidar Pehlay bana siftam ka nishana gham e Hussain(as) |